Beautiful Poetry In Urdu

Beautiful Poetry In Urdu Is Very Simple Poetry On Beautiful Things Like Poetry On Beautiful Girls,Poetry On Beautiful Boys,Poetry On Beautiful Places,Means A Man Fall In Love With A Beautiful Girl And He Explain His Beauty In Poetry That Is Called Beautiful Poetry
Beautiful Poetry In Urdu
Tumhare Husn Ka Hota Hai Jab Bhi

Tumhare Husn Ka Hota Hai Jab Bhi Tazkara Jaana,
Misaalein Jhoomti Hain Iste’aare Raqs Karte Hain
Main Jaanta Toh Hun Magar Phir Bhi
Main Jaanta Toh Hun Magar Phir Bhi Chahta Hun,
Tu Aaina Dekh Kar Bata Meri Pasand Kaisi Hai
Na Chahat, Na Mohabbat, Na Ishq Aur Na Wafa
Na Chahat, Na Mohabbat, Na Ishq Aur Na Wafa,
Kuch Bhi Nahi Tha Us Shaks Ke Paas Siwaye Husn Ke
Husn Yousuf Jaisa Ho Ya Surat Bilal Jaisi

Husn Yousuf Jaisa Ho Ya Surat Bilal Jaisi,
Ishq Agar Rooh Se Ho Toh Har Roop Kamal Hota Hai
Aik Woh Khud Hai Shayari Jaisi, Aur Phir
Aik Woh Khud Hai Shayari Jaisi,
Aur Phir Shayari Bhi Karti Hai
Uss Jaisa Koi Masoom Kahan Hoga, Uss
Uss Jaisa Koi Masoom Kahan Hoga,
Uss Jaisa Koi Haseen Bhi Kahan Hoga
Zikr Jab Chir Gaya Qayamat Ka

Zikr Jab Chir Gaya Qayamat Ka,
Baat Pohanchi Teri Jawani Tak
Chand Ke Husn Per Har Shaks Ka Haq Hai
Chand Ke Husn Pe Har Shaks Ka Haq Hai Mansoor,
Main Ussey Kaise Kahun Raat Ko Nikla Na Kare
Nazar Nazar Main Hi Dewana Bana Dete
Nazar Nazar Mein Hee Dewana Bana Dete Hain,
Husn Walon Ki Jhalak Kamal Hoti Hai
Tera Khayal Darust Hai Ke Woh Khoobsurat

Tera Khayal Darust Hai Ke Woh Khoobsurat Hai
Magar Mujhe Husn e Yaar Se Nahi Mujhe Apne Yaar Se Mohabbat Hai
Mera Har Din Khoobsurat Bana Deta Hai
Mera Har Din Khoobsurat Bana Deta Hai,
Tumhara Saath Chand Lamhon Ki Baatein Aur Kuch Pal Ka Muskuraana
Apni Nazar Mein Tum Badshah Sahee Magar
Apni Nazar Mein Tum Badshah Sahee Magar,
Kudrat Hum Jaise Bhi Baar Baar Nahi Banati
Woh Faaslon Mein Bhi Rakhta Hai Rang Qurbat Ke

Woh Faaslon Mein Bhi Rakhta Hai Rang Qurbat Ke,
Nazar Se Dur Sahee, Dil Ke Paas Rehta Hai
Yun Na Muskuraya Karo Labon Ki Shan Jaati Hai
Yun Na Muskuraya Karo Labon Ki Shan Jaati Hai,
Tumhare Hont Hilte Hain Hamari Jaan Jaati Hai
Teri Yeh Adaa Toh Meri Jaan Le Kar Hee Choregi
Teri Yeh Adaa Toh Meri Jaan Le Kar Hee Choregi,
Kyun Girta Hai Dupatta Tera Mere Hee Saamne
Jaan Leva Tha Uska Sanwala Rang

Jaan Leva Tha Uska Sanwala Rang,
Aur Hum Karak Chai Ke Shaukeen Bhi Thay
Aik Zara Sa Jo Main Muskura Dun
Aik Zara Sa Jo Main Muskura Dun,
Gham Bhi Kehte Lajawab Hai Tu
Tera Deedar Hee Aankhon Ki Tilawat Tehra
Tera Deedar Hee Aankhon Ki Tilawat Tehra,
Yeh Mera Ishq Hai Muqadas Ibadat Jaisa
Mujhe Acha Nahi Lagta Kisi Ka Muntazir Rehna

Mujhe Acha Nahi Lagta Kisi Ka Muntazir Rehna,
Magar Woh Khoobsurat Hai Ussey Taqeer Ka Haq Hai
Ishq Ka Apna Garoor, Husn Ki Apni Anaa
Ishq Ka Apna Garoor, Husn Ki Apni Anaa
Ussey Aaya Na Gaya, Hum Se Bhulaya Na Gaya
Naqaab Kya Chupaye Ga Shabaab e Husn Ko
Naqaab Kya Chupaye Ga Shabab e Husn Ko,
Nigah e Ishq Toh Pathar Bhi Chir Deti Hai
Adaa Katil, Bayaa’n Katil, Zuba’n Katil, Nigah Katil

Adaa Katil, Bayaa’n Katil, Zuba’n Katil, Nigah Katil,
Tumhara Silsila Shayad Kisi Katil Se Milta Hai
Hum Haseen Hone Ka Dawa Toh Nahi Karte Wasi Magar
Hum Haseen Hone Ka Dawa Toh Nahi Karte Wasi Magar,
Jissey Aankh Bhar Kar Dekh Lein Uljhan Mein Daal Dete Hain
Mulaim Hath, Kham e Zulf, Ada e Nain Aur Yaqoot Hont
Mulaim Hath, Kham e Zulf, Ada e Nain Aur Yaqoot Hont,
Wallah Katal Baaqi Hai Auzaar Toh Sab Hee Pooray Hain
Tere Jamal Se Aankhen Haseen Hain Meri

Tere Jamal Se Aankhen Haseen Hain Meri,
Tere Khayal Se Dil Mein Chirag Jalte Hain
Teri Surat Se Hai Aalam Mein Baharon Ko Sabaat
Teri Surat Se Hai Aalam Mein Baharon Ko Sabaat,
Teri Aankhon Ke Siwa Duniya Mein Rakha Kya Hai
Mere Ishq Se Mili Hai Tere Husn Ko Shohrat

Mere Ishq Se Mili Hai Tere Husn Ko Shohrat,
Tumhara Zikr Hee Kahan Tha Mere Dastaan Se Pehle
Husn Sab Ko Khuda Nahi Deta, Har Kisi Ki Nazar
Husn Sab Ko Khuda Nahi Deta,
Har Kisi Ki Nazar Nahi Hoti
Tareekh Mein Qissay Toh Husn e Yousuf Ke Hain

Tareekh Mein Qissay Toh Husn e Yousuf Ke Hain,
Phir Yeh Bint e Hawa Kis Baat Pe Itrati Hai